Random enough to be declared weird.

Baat naheen ho paati..

No Comments

Guzar auqaat naheen ho paati..
Din say ab raat naheen ho paati..

Sari duniya main bus ik tum say hee..
Ab mulaqat naheen ho paati..

Jo dharakti hay merey dil main kaheen..
Ik wohee baat naheen ho paati..

Jama karta hoon sar-e-chasham bohat..
Phir bhi barsaat naheen ho paati..

 
Tags: , , , , ,
Posted in: I like.., Personal, Random, Thoughts

Leave a Reply